Kamlii Walay To Talab Say Bhi Siwaa Daytay Heyn

Kamlii Walay To Talab Say Bhi Siwaa Daytay Heyn

Kamlii walay to talab say bhi siwaa daytay heyn
Aa-ay mangta to wo sultaan bana daytay heyn


Yaad kar lay jo koii dil say mayray aqa ko
Taibah waalay (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ussay Taibah mayn bula laytay heyn


Daykhay koii to sada day kay mayray Madani (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ko
Pal mayn bigrri huii taqdeer bana daytay heyn


Khulq esa to kisi hor nay or nay paya hi nahiin
Dushman aaja-ay to chaadar bhi bichha daytay heyn


Zikr karta he jo Sarkar kay mahbubon ka
Mayray Aqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ussay mahbub bana laytay heyn


Kartay heyn aakay karam shaah e do alam  (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)un par
Jo bhi sarkar ki mehfil ko saja laytay heyn


Koii aaja-ay agar jurmon pay naadim ho kar
Mayray aqa ussay kamli mayn chhupa laytay heyn


Gar koii naam e Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka waziifa kar lay
Khuaab mayn aakar wo jalwa bhi dikha daytay hey

ایک تبصرہ شائع کریں

0 تبصرے