Ya Rasoolallah, Tere Dar Ki Fizaon Ko Salaam

Ya Rasoolallah, Tere Dar Ki Fizaon Ko Salaam

Ya Rasoolallah, Tere Dar Ki Fizaon Ko Salaam
Gumbade Khadra Ki Thandi, Thandi Chaon Ko Salaam


Walhana Jo Tawafe Rozae Anwar Karein
Masto Be Khud Wajd Mein Aati Hawaon Ko Salaam


Jo Madiney Ki Gali Kuchon Mein Detey Hain Sada
Ta Qayamat Un Gadaon Aur Faqiron Ko Salaam


Mangtey Hain Jo Wahan Shahon Gada Bey Imtiyaz
Dil Ki Har Dharkan Mein Shamil Un Duaon Ko Salaam


Kaa達ae, Kaa達ah Ke Khush Manzar Nazaron Par Durood
Shahre Battuha Ke Daro Diwar Par Lakhon Durood
Masjide Nabawi Ki Subho Aur Shamon Ko Salaam


Jo Parha Karte The Ro-Ro Kar Tere Darbar Mein
Pesh Karte Hain Yeh Aasi Un Salaamon Ko Salaam


Ya Ilahi Sadqae Aaley Rasool
Yeh Salaame Aajzaana Ho Qubool


Assalatu Wassalaamu Alaika Ya Rasoolallah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
Assalatu Wassalaamu Alaika Ya Habiballah

ایک تبصرہ شائع کریں

0 تبصرے