SAQIY-E- KAUSAR MERA JAB MEER-E- MAIKHANA BANA
CHAND -O-SURAJ KHUM BANE HAR NAJAM PAIMANA BANA
HUSNE FITRAT KE HAR EK JALWE SE BEGANA BANA
DIL BADA HOSHIYAR THA IS DAR KA DIWANA BANA
IS BAHANE SE HI JA PAHONCHON LABE AIJAZ TAK
YA ILAHEE KHAK KARKE MUJH KO PAIMANA BANA
APNE AQAL WA HOSH KHONE KA SILA MIL HI GAYA
MERA AFSANA SARAPA UN KA AFSANA BANA
ALLAH LLAH RIFAT ASHK GAME HIJRE NABI
JO HI TAPKA AANKH SE TASBHI KA DANA BANA
AAJ BHI SURAJ PALAT SAKTA HAI ISKE WASTE
APNE DIL KO ULFATE AHMED KA KASHANA BANA
CHAND KI RIFAT KO CHO LENE KAHAN KI AQAL HAI
AQAL AE HAI CHAND KO KHUD APNA DIWANA BANA
MERE DIL ME JAB AHMED KE HAIN GUL BOOTE KHILE
AB ISE KA’ABA SAMAJH WAZ KE BUT KHANA BANA
JAM WA SAGAR SE BHI JAYEGI KAHIN TASHNA LABI
JARAYE DAST KARAM KO MERA PAIMANA BANA
JANE KITNI THOKARIN KHATA HUA AAYA HON MAIN
MUJH KO MAHROM TAMANNA MERE MAULA NA BANA
0 تبصرے