Siyah Zulfen Haseen Aankhen Mere Nabi Ka Jamal Dekho

Siyah Zulfen Haseen Aankhen Mere Nabi Ka Jamal Dekho

Naat

Roman Lyrics

siyaah zulfe.n haseen aankhe.n, mere nabi ka jamaal dekho KHuda se milte hai.n laa-makaa.n par, jahaan waalo ! kamaal dekho hai kaun jalwa-numa 'arab me.n ki saara 'aalam hai jagmagaaya zamee.n munawwar, faza mu'attar, hai but-kado.n par zawaal dekho are musalmaan ! gaflato.n me.n ham un ko bhoole hue hai.n kyunkar ? hamaari baKHshish ka wo karenge KHuda ke aage sawaal dekho naseem-e-sahri ! madine jaa kar mere nabi ko payaam dena nahi.n hai KHauf-e-KHuda kisi ko, hai aisa ummat ka haal dekho jo aasmaa.n par nazar uTha kar nabi ne dekha, kiya ishaara to shaq huaa phir qamar falak par, ye mo'jize ki misaal dekho ye KHwaab dekha tha ek din mai.n huzoor-e-aqdas ke saamne tha wahaa.n mai.n, Hamdard ! keh raha tha ki ab nahi.n kuchh malaal dekho Poet: Dr. Shakir Ullah Hamdard Naat-Khwaan: Abdul Basit Hassani

Hindi Lyrics

सियाह ज़ुल्फ़ें हसीन आँखें, मेरे नबी का जमाल देखो ख़ुदा से मिलते हैं ला-मकाँ पर, जहान वालो ! कमाल देखो है कौन जल्वा-नुमा 'अरब में कि सारा 'आलम है जगमगाया ज़मीं मुनव्वर, फ़ज़ा मु'अत्तर, है बुत-कदों पर ज़वाल आया अरे मुसलमान ! ग़फ़लतों में हम उन को भूले हुए हैं क्यूँकर ? हमारी बख़्शिश का वो करेंगे ख़ुदा के आगे सवाल देखो नसीम-ए-सहरी ! मदीने जा कर मेरे नबी को पयाम देना नहीं है ख़ौफ़-ए-ख़ुदा किसी को, है ऐसा उम्मत का हाल देखो जो आसमाँ पर नज़र उठा कर नबी ने देखा, किया इशारा तो शक़ हुआ फिर क़मर फ़लक पर, ये मो'जिज़े की मिसाल देखो ये ख़्वाब देखा था एक दिन मैं हुज़ूर-ए-अक़्दस के सामने था वहाँ मैं, हमदर्द ! कह रहा था कि अब नहीं कुछ मलाल देखो शायर: डॉ. शाकिरुल्लाह हमदर्द ना'त-ख़्वाँ: अब्दुल बासित हस्सानी

ایک تبصرہ شائع کریں

0 تبصرے