KO YE TAIBA KI YAAD JAB AAYE KYON NA PAHLO ME DIL TADP JAAYE

KO YE TAIBA KI YAAD JAB AAYE KYON NA PAHLO ME DIL TADP JAAYE

Madni miyan akhtar Ashrafi


KO YE TAIBA KI YAAD JAB AAYE


KYON NA PAHLO ME DIL TADP JAAYE



INKE HONTON PE GAR HASTI AAYE


CHAND KI CHANDANI BHI SHARMAAYE



TERE MANGATA KAMLIYA WALE


HAIN TERE DAR PE HATH PHAILAAYE



IS KO APNI KHABAR? MAÁZ ALLAH


  NIGAAHE NAAZ JIS PE PAD JAAYE



DASTE RAHAMAT KO YE GAWARA KAHAN


 KHALI CHAWKHAT SE KOI PHIR JAAYE



NOK-E-GAMZAH PE KUCH SITAARE HAIN


IN KI FURQAT KE YE HAIN  SARMAAYE



DIL ME WO AANKH KE DARICHAON SE


MUSKURATE HUE UTAR AAYE



AAJ PHIRTE HAIN UNKE DIWAANE


 TAKHT WA TAAJ SHAHI KO THUKRAAYE



KYA KARE HAM FARAQ KE MAARE


JAB MADINE KI YAAD TADPAAYE



DEKH KAR SABZ JALIYON KA SAMA


 GULSHAN KHULD KIYON NA LALCHAYE



WO MOHAMMED KA AASTANA HAI


KHUD BA KHUD SAR JAHAN PE JHUK JAAYE



RAH KE TAIBA SE DOOR JO GUZRE


HAM TO IS ZINDAGI SE BAAZ AAYE



BOL UTHEN INKI RAHMATEN AKHTAR


HAR MUSIBAT ZADA IDHAR AAYE

ایک تبصرہ شائع کریں

0 تبصرے