ZAHE TAQDEER BIMAAR MOHABBAT CHARA GAR AAYA

ZAHE TAQDEER BIMAAR MOHABBAT CHARA GAR AAYA

Madni miyan akhtar Ashrafi


ZAHE TAQDEER BIMAAR MOHABBAT CHARA GAR AAYA


SUKON JAANE AALAM RAAHAT QALB WA NAZAR AAYA



NAZAR MAA IL BA GAR YE THI WAFORE SHADANI SE


AJAB THA MAAJARA PESHE NAZAR JAB TERA DAR AAYA



FALAK PAR BANKE CHAMAKE MISAL KHAWAR SARE PAIGAMBAR


MOHAMMED MUSTAFA LEYKIN BAANDAAZAD GAR AAYA



MITANE FITANA ANGEZI ZAMAANE KI ZAMAANE SE


KINAAR AAMINA ME AMAN KA PAIGAAMBAR AAYA



AJAB ANDAAZ SE TAWHEED  KA GAATA HUA NAGMA


NAWA SANJ GULASTAAN BARAHIMI IDHAR AAYA



JAB AAYE JALWA GAAHE RAB ME MOSA HOGAYE BE KHOD


TABASSUM THA LABON PAR JAB WAHAN KHAIRUL BASHAR AAYA



KAHIN WAL LAIL KA MANZAR KAHIN WASH SHAMS KE JALWE


NAZAARA UNKI ZULF WA RUKH ME NAZARAON KO NAZAR AAYA



KALAM ALLAH TO KAHTA HAI INKO NOORE YAZDANI


MAGRA KAHTE HAIN AHLE SHAR INHE MUJH SA BASHAR AAYA



TERI NAGMA SARAYI PAR SAABIT HUI AKHTAR


ZABAAN AHLE MAHFIL BOL UTHI NAGMA GAR AAYA

ایک تبصرہ شائع کریں

0 تبصرے