Jiss Ka Koii Saani Nahiin

Jiss Ka Koii Saani Nahiin

Jiss ka koii saani nahiin wo Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) hamara hai
Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki azmat ka had hei na kinaara hai


Jo habeeb-e-daawar hei jo makeen-e-khizra hai
Sayyida (radi Allahu ‘anha) ka baba hai, Amina ka pyaara hai


Aap ki hi chokhatt ke ya Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) bikaari hein
Aap hi ke tukrron pe ya Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) guzaara hai


Zor par ho tufaan bhi or ddagmaga-ai nayya bhi
Aap gar karam kar dain to saamne kinaara hei


Iss umeed par mein bhi aa kharra hun chokhatt par
Wo kabhi to poochain ge kon gham ka maara hai


Bhoole na niyaazi kabhi bhool kar bhi yaad-e-Nabi
Un ko bhool jaana hi asal main khasaara hai

ایک تبصرہ شائع کریں

0 تبصرے