Jitna Diya Sarkaar Ne mujh ko

Jitna Diya Sarkaar Ne mujh ko

Jitna diya Sarkaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ne mujh ko, utnii merii aukaat naheen
Yeh to karaam hai inka warnaa, mujh mein toh aisi baat naheen


Tu bhi wahi par jake jahaa par, sab kii bigaree bar’tee hai
Aik terii takdeer banana, inke liye kuch baat naheen


Jo hai merii jaan-o-imaan, kya mein unki nazar karun
Paas meray ashko keh ilawa, aur ko’ii sow’ghaat naheen


Ishq shahe bad’ha seh pehle, muflis-o-hasta haal thaa mey
Naam-e-Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) key mey qur’ban, ab woh meray haalat naheen


Ghaur tuh kar Sarkaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki tujh par, kitnii haas inaayat hai
Kausar tu hai inka sanahaan,
Tahir tuh hai inka sanahaan, yeh ma’mulee baat naheen

ایک تبصرہ شائع کریں

0 تبصرے