Jitna Mere Khuda Ko Hai Mera Nabi Aziz

Jitna Mere Khuda Ko Hai Mera Nabi Aziz

jitna mere khuda ko hai mera Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) aziz
konain me kisi ko naho ga aziz


kiyu jaye hum kahi ke ghani tum ne kar diya
ab to ye dar pasand ye ghar ye gali aziz


jo kuch teri riza hai khuda ki wahi khushi
jo kuch teri kushi hai khuda ko wahi aziz


khak-e-madina par Allah mout de
wo murda dil hai jisko na ho zindagi aziz


shan-e-karam ko ache bure se gharaz nahi
use sabhi pasand hai use sabhi aziz


mangta ka haat utha to Madina hi ki taraf
tera hi dar pasand teri hi gali aziz


konain de diye hai tere iqteyaar me
Allah ko bhi kitni hai qatir teri aziz


mahshar me do jaha ko khuda ki khushi ki chah
mere huzoor ki hai khuda ko hai khushi aziz


Quraan kha raha hai usi haat ki qasam
hum kon hai khuda ko hai teri gali aziz


Taiba ke hote khuld-e-bari kiya karu HASSAN

ایک تبصرہ شائع کریں

0 تبصرے