Kabhi barbaad Aqa zindigi hone nahi dete

Kabhi barbaad Aqa zindigi hone nahi dete

Kabhi barbaad Aqa zindigi hone nahi dete
ata ki barishon mein woh kami hone nahi dete


Mere sab kaam balte hain
Karam Sarkar karte hain
Koi deewar raste mein
khari hone nahi dete
Koi deewar raste mein
khari hone nahi dete


jo unka hai hamara hai yehi dil ko bataya hai
jo unka hai hamara hai yehi dil ko bataya hai
Yehi dil ko bataya hai


Jo unka hai hamara hai
Adoo se unke dil ki dosti ko hone nahi dete


Kabhi barbaad Aqa zindigi hone nahi dete
ata ki barishon mein woh kami hone nahi dete


Hamesha woh hamein ehzaz par ehzaz dete hain
nikamma hone ka ehsas bhi hone nahi dete


Kabhi barbaad Aqa zindigi hone nahi dete
ata ki barishon mein woh kami hone nahi dete


Inhi ke yaad se aabaad hai, dil bhi ujaagar ka
Kabhi veeraan woh dil ki gali hone nahi dete


Nabi ke naam ki jo har jaga mehfil sajate hain
Phir unke naam ko neecha Nabi hone nahi dete


Lab e kawthar aansuon ko
lab a lab jaam dete hain
Sar e mehshar kisi ko tishnagi hone nahi dete

ایک تبصرہ شائع کریں

0 تبصرے