Khaak-e-Madinah hoti,

Khaak-e-Madinah hoti,

Khaak-e-Madinah hoti, main khaak saar hota.
Khaak-e-Madinah hoti, main khaak saar hota.


Aaqa aggar karam se Taiba mujhe bulaate,
Roze par sadqe hota, Unn par nisaar hota.


Mar mitt ke khoob lagti mitti meri thikaane.
Gar Unn ki rahguzzar par, mera mizaar hota.


Bechayn dil ko ab tak samjha bujha ke rakha.
Baad iske ab to Aaqa nahin intezaar hota.


Woh bekasson ke Aaqa, bekass ko ghar bulaate.
Kyun sab ki thokarron par, parrh kar khwaar hota.


Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ab to bulwa lo, mujh se mujrim ko bhi paas Apne.
Main khud ko waar deta, bas khaak saar hota.


Taiba main gar muyassar, do gazz zameen hoti.
Unn ke qareeb basta, dil ko karaar hota.


Aaqa ke qadmon mein gar, do gazz zameen hoti.
Unn ke qareeb basta, dil ko sukoon hota.


Khaak-e-Madinah hoti, main khaak saar hota.
Khaak-e-Madinah hoti, main khaak saar hota.

ایک تبصرہ شائع کریں

0 تبصرے