Khuda ki azmateein kya hai Muhammad Mustafa jaane

Khuda ki azmateein kya hai Muhammad Mustafa jaane

Khuda ki azmateein kya hai Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)Mustafa jaane
Maqame Mustafa kya hai Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)Mustafa jaane


Sada karna mere bas mei tha main ne to sada kar di
Wo kya dei gei main kya loun ga sakhi jane gadha jane


Darana mujh ko to kyoun hai azaab-e-Kabbar se wahid
Wahan Sarkaar aye gei khata jane atta jane


Meri mathi Madine Paak ki Ra’ah mein poncha dena
Kahan le jaye ghi is ko Madine ki hawa jane


Kaha Jibreal ne Sidra talak meri risaaiy hai
Hai kitni manzilein aage Nabi jane Khuda jane


Hamme to shurkhru hona hai Aqa ki nigahoun mein
Zamane ka hai kya Nasir bura jane bala jane

ایک تبصرہ شائع کریں

0 تبصرے