Kuch Aisa Kar De Mere Kirdagaar Aankhon Me,

Kuch Aisa Kar De Mere Kirdagaar Aankhon Me,

Kuch Aisa Kar De Mere Kirdagaar Aankhon Me,
Hamehsa Naksh Rahe Rue Yaar Aankhon Me.


Basa Huva Hai Koi Gul Azaar Aankhon Me,
Khila Hai Chaaron Taraf Lalazaar Aankhon Me.


Woh Noor De Mere Parwardigaar Aankhon Me,
Ke Jalwagar Rahe Rukh Ki Bahaar Aankhon Me.


Basar Ke Saath Basirat Bhi Khub Roshan Hai,
Lagaoun Khake Qadam Baar Baar Aankhon Me.


Unhen Na Dekha To Kis Kaam Ki Hai Yeh Aankhen.
Ke Dekhne Ki Hai Saar Bahaar Aankhon Me.


Nazra Me Kaise Samayenge Fool Jannat Ke,
Ke Bas Chuke Hai Madine Ke Khaar Aankhon Me.


Woh Sabz Sabz Nazar Aa Raha Hai Gumbad Sabz,
Qarar Aa Gaya Youn Be-Qaraar Aankhon Me.


Yeh Dil Tadap Ke Kahin Aankhon Me Na Aa Jaye,
Ke Fir Raha Hai Kisi Ka Mazaar Aankhon Me.


Farishton Puchte Ho Mujh Se Kis Ki Ummat Ho,
Lo Dekhlo Yeh Hai Tashweer E Yaar Aankhon Me.


Piya Hai Jaam E Muhabbat Jo Aapne “NOORI”
Rahega Uska Hamesha Khumaar Aankhon Me.


Fir Aayen Din Mere “AKHTAR” Shabe Huzuri Me,
Karam Se Jalwa Kare Jab Nigaar Aankhon Me.


Nigah E Mufti E Aazam Ki Hai Yeh Jalwahgiri,
Chamak Rahe Hai Jo “AKHTAR” Hazaar Aankhon Me.

ایک تبصرہ شائع کریں

0 تبصرے