Lo jhoom ke naam Muhammad ka

Lo jhoom ke naam Muhammad ka

Lo jhoom ke naam Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka
Iss naam se rahat hoti hai
Iss naam ke sadqe baithe hain
Iss naam se barkat hoti hai


Yeh shaan-e-karam Allah ghani
Allah ka diya dete hain Nabi
Dekhe to sadda de kar koi
Har cheez inayat hoti hai


Naaton ke sajaate hain gajre
Parhte hain salaamon ke naghme
Koi maane, maane na maane
Apni to ‘ibadat hoti hai


Mausam to badalte rehte hain
Armaan machalte rehte hain
Dekhein kis waqt Madine mein
Jaane ki surat hoti hai


Khushbakht musafir tayba ke
Ho saamne jab darbar-e-Nabi
Youn dekho Gumbad ko jaise
Quran ki tilawat hoti hai


Apne dukh dard musibat mein
Dunya mein hazaaron rote hain
Jo yaad-e-Nabi mein askh gire
Us ashk ki qeemat hoti hai


Apne to Niyazi apne hain
Ghayron ne bhi humse pyar kiya
Sab naam-e-Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka sadqa hai
Apni jo izzat hoti hai


Lo jhoom ke naam Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka
Iss naam se rahat hoti hai
Iss naam ke sadqe baithe hain
Iss naam se barkat hoti hai

ایک تبصرہ شائع کریں

0 تبصرے