Ya Rab mere dil me hain tamanna e Madina

Ya Rab mere dil me hain tamanna e Madina

Ya Rab mere dil me hain tamanna e Madina
In aankho se dikhla mujhe sehraa e Madinah


Nikle na kabhi dil se tamanna e Madinah
Zar me rahe Ya Rab mere sodha e Madinah


Aisa meri nazro me samaa jaaye Madinah
Jab aankh uthaoo to nazar aaye Madinah


Phirte hain yahaan sindh me hum be sar o saamaan
Taiba me bulalo hume Aaqa e Madinah


Is dar ke hain mushtaq e ziyaarat meri aankhe
Dil se ye nikalti hain sada haaye Madinah


Yaad aata hain jab Roza e Purnoor ka Gumbad
Dil se ye nikalti hain sada haaye Madinah


Main wajd ke ‘aalam me karu chaak ghareebaan
Aankho ke mere saamne jab aaye Madinah


Quran qasam khaata na us shehr ki har giz
Gar hota na wo gul chaman aaraa e Madinah


Kyun gor ka khatka ho, qiyamat ka ho kya ghum
Shedaa e Madinah hoon mein Shedaa e Madina


Bulwaake Madine me Jameel e Razavi ko
Sag apna banaa lo isse Maula e Madina

ایک تبصرہ شائع کریں

0 تبصرے