IS DAYARE AQADDAS ME LAAZIM HAI AYE DIL AHTIYAAT

IS DAYARE AQADDAS ME LAAZIM HAI AYE DIL AHTIYAAT

Madni miyan akhtar Ashrafi


IS DAYARE AQADDAS ME LAAZIM HAI AYE DIL AHTIYAAT


BE ADAB HAIN KAR NAHI PAATE JO GAFIL AHTIYAAT


JI ME ATA UHAI LIPAT JAAON MAZARE PAK SE


KYA KARON MERE ARMANO KE QAATIL AHTIYAT


IZTARAAB  ISHQ KA IZHAAR HO BE HURF WA SOOT


AYE GAM DIL AHTIYAT AYE WAHSHAT DIL AHTIYAT


ISHQ KI RAFANGI BHI  HUSEN SE KUCH KAM NAHI


HAI MAGAR IS HUSEN KE RUKHSAR KA TAL AHTIYAAT


INKE DAAMAN TAK NA PAHONCH JAYE NA CHINTE KHOON KI


HAI TADAPNE ME BHI LAAZIM MARGE BISMIL AHTIYAAT


AA BATAWON TUJH KO MAIN IRSHAADE AWO ADANA KA RAAZ


IN KE ZIKAR QURB ME LAZIM HAI KAAMIL AHTIYAAT


SIRF SIDRA TAK RAFAAQAT AUR PHIR UZARE LATIF


AQAL WALO HAI ADAAYE AQAL KAMIL AHTIYAAT


BAS ISI KO HAI SANAYE MUSTAFA LIKHNE KA HAQ


JIS QALAM KI ROSHANAYI ME HO SHAMIL AHTIYAAT


NAAM PAR TOHEED KE INKAARE TAAZIME RAOOL


KYA GAZAB HAI KUFAR KO KAHTE HAIN JAAHIL AHTIYAAT


IS ADAB NA AASHNA MAAHOL ME AKHATA KAHEE


RAH NA JAAYE HO KE MISAL HARF BAATIL AHTIYAAT

ایک تبصرہ شائع کریں

0 تبصرے