NABI HAI MARKAZE CHASHM ZAMANA BE KHUDI APNI

NABI HAI MARKAZE CHASHM ZAMANA BE KHUDI APNI

Madni miyan akhtar Ashrafi


NABI HAI MARKAZE CHASHM ZAMANA BE KHUDI APNI


BADHA DI HAI KISI KI DIL KASHI NE DIL KASHI APNI



HAME KAAFI HAI BAS FIKAR WA NAZAR KI ROSHANI APNI


NA DE AYE CHAND HAM KO CHAR DIN KI CHANDANI APNI



MERA GHAR PHOKANE WALE BADA MAMNOON HON TERA


CHAMAN KI TAIRAGI KO CHAHIYE THI ROSHANI APNI



FIRAQE YAAR!IN AANKHON KA PATHRAANA BHI KYA SHAYE HAI


NA SHAB KI TAIRAGI APNI NA DIN KI ROSHANI APNI



SARE MUZ GAN PE KUCH SAYAL MOTI JAGMAGATE HAIN


ISE MAIN ROSHANI IN KI KAHON YA ROSHANI APNI



MERE AAMAL KIS LAAYAQ HAIN BAS EK AASARA YE HAI


BADE HI BAKHSNE WALE SE HAI WABASTAGI APNI





KISI DASTE KARAM KA EK JURÁA HAM KO KAFI HAI


MITE GI JAM WA SAGAR SE KAHIN TASHANA LABI APNI



ZAMANA LAKH CHAHE HAM KABHI MURJHA NAHI SAKTE


KHUDA KE FAZAL SE BAQI RAHE GI TAAZAGI APNI



PARE PARWAZ IS KE HAM NE KHUD HI KAT DAALE HAIN


FALAK KO BHI NAHI KHATIR ME LAATI THI KHUDI APNI



KHUD ZAHA’FE IMAAN W AMAL NE KAR DIYA PICHE


ZAMAANE KI QIYADAT KAR RAHI THI AAGAHI APNI



MERE ASHÁAR KO MIZAAN FAN PAR TOLNE WALO


FAQAT DIL KI TASALLI KE LIYE HAI SHÁIRI APNI



PATA DETI HAI IS KHURSHID KA MERI DARKHSHANI


MAIN AKHTAR HON NAHI YE ROSHANI HAI ROSHANI APNI

ایک تبصرہ شائع کریں

0 تبصرے