Do jahaan ke Wali

Do jahaan ke Wali

Do jahaan ke Wali (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka do jahaan pe saya hai
Unko to Khuda ne Unki marzi se banaya hai


Noori noori talwe hai, kaise pyare jalwe hai
Chand Unke jalwo ki bheek lene aaya hai


Barkato ki raile hai, nooriyo ki mele hai
Haleema (radi Allahu ‘anha) teri kotya me Kaun muskuraya hai


Toor par kaha Rabb ne, Lan Taraani Musa
Lekin mere Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ko, (Rabb ne) arsh par bulaya hai


Nabiyo ne salami di, waliyo ne ghulami ki
Sar pe Unke Khaaliq ne taaj woh saja hai


Mauj mein jab Aate hain, Woh taajwar banate hain
Sab pe hai karam Nasir, apna ya paraya hai


Wa d-Duha (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka Chehra hai, Taha (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka Sehra hai
Unke muskurane se zamana jagmagaya hai


Do jahaan ke Wali (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka do jahaan pe saya hai
Unko to Khuda ne Unki marzi se banaya hai

ایک تبصرہ شائع کریں

0 تبصرے