Muhammad jo ro ker duwa maangtay hain

Muhammad jo ro ker duwa maangtay hain

MUHAMMAD (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jo ro ker duwa maangtay hain
KHUDA say KHUDA  jaane kya maangtay hain


KHUDA  jaanay kya shay, jiss ko KHUDA ko
Wo sajday may sar ko jhuka maangtay hain


Kabhi baith ker iltaja ker rahey hain
Kabhi haath uunchay utha maangtay hain


Ilaahi  karam kar day Ummat pay Maire
Wo kya aur iss kay siwa maangtay hain


Yay wo der hay jiss der pay Khairaat aa ker
Gada tou gada, Ambiyaa maangtay hain


Yahaa milti hay deen-o-duniya ki raahat
Issi der pay Shaah-o-gada maangtay hain


Madinay main ay Nuur bulawaey Hazrat
Dua hum yay subh-o-masa maangtay hain


MUHAMMAD (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jo ro ker duwa maangtay hain
KHUDA say KHUDA  jaane kya maangtay hain

ایک تبصرہ شائع کریں

0 تبصرے