Bina Maa Ke Bachchon Ki Hai Ye Sada

Bina Maa Ke Bachchon Ki Hai Ye Sada

Naat

Roman Lyrics

bina maa.n ke bachcho.n ki hai ye sada mujhe meri maa.n chaahiye har ik saans par hai yahi barmala mujhe meri maa.n chaahiye bina maa.n ke bachcho.n ki hai ye sada mujhe meri maa.n chaahiye chhupa kar rakha haal bachcho.n se apne guzaare hai.n din kitne faaqo.n se apne niwaale khilaati thi haatho.n se apne chaba kar ke roTi ko daanto.n se apne ye andaaz ammi ka shafqat bhara mujhe meri maa.n chaahiye bina maa.n ke bachcho.n ki hai ye sada mujhe meri maa.n chaahiye kahaa.n aur kidhar aah ab jaaunga mai.n bina maa.n ke kis tarha reh paaunga mai.n qadam-ba-qadam roz pachhtaaunga mai.n yu.n lagta hai jaise ki mar jaaunga mai.n ta.Dapte hue dil ne ro kar kaha mujhe meri maa.n chaahiye bina maa.n ke bachcho.n ki hai ye sada mujhe meri maa.n chaahiye zamaane ki nazro.n se mujh ko bacha kar wo dooDh ki shakl me.n KHoon pila kar mujhe jis ne paala gale se laga kar chala hu.n mai.n us ka janaaza uTha kar uTha sar se mamta ka wo aasra mujhe meri maa.n chaahiye bina maa.n ke bachcho.n ki hai ye sada mujhe meri maa.n chaahiye koi maa.n ke jaisi bhi aurat nahi.n hai kisi aur me.n meri jannat nahi.n hai kahu.n mai.n kya pehle si haalat nahi.n hai bina maa.n ke jeene ki 'aadat nahi.n hai meri maa.n se saanso ka hai waasta mujhe meri maa.n chaahiye bina maa.n ke bachcho.n ki hai ye sada mujhe meri maa.n chaahiye ye murjhaaya dil Gam me.n, is ko khila de chaman mera uj.Da hai, maula ! jila de KHudaya ! in ashko.n ka aisa sila de tu maa.n phir se de de ya maa.n se mila de lagaata hai raT ye hi BeKHud Raza mujhe meri maa.n chaahiye bina maa.n ke bachcho.n ki hai ye sada mujhe meri maa.n chaahiye har ik saans par hai yahi barmala mujhe meri maa.n chaahiye Poet: Waseem Bekhud Mandalwi Naat-Khwaan: Waseem Bekhud Mandalwi

Hindi Lyrics

बिना माँ के बच्चों की है ये सदा मुझे मेरी माँ चाहिए हर इक साँस पर है यही बरमला मुझे मेरी माँ चाहिए बिना माँ के बच्चों की है ये सदा मुझे मेरी माँ चाहिए छुपा कर रखा हाल बच्चोंं से अपने गुज़ारे हैं दिन कितने फ़ाक़ों से अपने निवाले खिलाती थी हाथों से अपने चबा कर के रोटी को दाँतों से अपने ये अंदाज़ अम्मी का शफ़क़त भरा मुझे मेरी माँ चाहिए बिना माँ के बच्चों की है ये सदा मुझे मेरी माँ चाहिए कहाँ और किधर आह अब जाऊँगा मैं बिना माँ के किस तरह रह पाऊँगा मैं क़दम-ब-क़दम रोज़ पछताऊँगा मैं यूँ लगता है जैसे कि मर जाऊँगा मैं तड़पते हुए दिल ने रो कर कहा मुझे मेरी माँ चाहिए बिना माँ के बच्चों की है ये सदा मुझे मेरी माँ चाहिए ज़माने की नज़रों से मुझ को बचा कर वो दूध की शक्ल में ख़ून पिला कर मुझे जिस ने पाला गले से लगा कर चला हूँ मैं उस का जनाज़ा उठा कर उठा सर से ममता का वो आसरा मुझे मेरी माँ चाहिए बिना माँ के बच्चों की है ये सदा मुझे मेरी माँ चाहिए कोई माँ के जैसी भी औरत नहीं है किसी और में मेरी जन्नत नहीं है कहूँ मैं क्या पहले सी हालत नहीं है बिना माँ के जीने की 'आदत नहीं है मेरी माँ से साँसों का है वास्ता मुझे मेरी माँ चाहिए बिना माँ के बच्चों की है ये सदा मुझे मेरी माँ चाहिए ये मुरझाया दिल ग़म में, इस को खिला दे चमन मेरा उजड़ा है, मौला ! जिला दे ख़ुदाया ! इन अश्को का ऐसा सिला दे तू माँ फिर से दे दे या माँ से मिला दे लगाता है रट ये ही बेख़ुद रज़ा मुझे मेरी माँ चाहिए बिना माँ के बच्चों की है ये सदा मुझे मेरी माँ चाहिए हर इक साँस पर है यही बरमला मुझे मेरी माँ चाहिए शायर: वसीम बेख़ुद मांडलवी ना'त-ख़्वाँ: वसीम बेख़ुद मांडलवी

ایک تبصرہ شائع کریں

0 تبصرے