Habibe Khuda Ka Nazara Karoon Mein

Habibe Khuda Ka Nazara Karoon Mein

Habeeb-e-Khuda (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka nazara karoon mein
Dilo jaan unpar nisaaraa karoon mein


Yeh ek Jaan kya hai agar ho karoro
Tere Naam par sab ko waaraa karoon mein


Tere Naam par sar ko qurbaan kar ke
Tere sar se Sadqe utaara karoon mein


Mera Deen-o-Imaan Firishte jo pooche
Tumhari hi jaanib ishaaraa karoon mein


Khudara ab aawo ke dam he labo par
Dame wapasi to nazaara karoon mein


Khudaa kher se laye woh din bhi Noori
Madine ki galiyan bohaaraa karoon mein


Mujhe apni rehmat se to apna karle
Siwa Tere sab se kinaaraa karoon mein


Mein kyoon ghair ki thokare khane jawoon
Tere Dar se apna guzaaraa karon mein


Tera Zikr lab par khuda dil ke andar
Yunahi zindagani guzaaraa karoon mein


Dame wapasi tak tere geet gaoon
Muhammad Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) phukaaraa karoon mein


Tere dar ke hote kahan jawoon pyare
Kahan apna daaman pasaaraa karoon mein


Khudaa aisi kuwat de mere qalam mein
Ke Bad-Mazhabon ko sudhaaraa karoon mein

ایک تبصرہ شائع کریں

0 تبصرے