Makkah main Kaba hay, Madinah main Kabe ka Kaba hay

Makkah main Kaba hay, Madinah main Kabe ka Kaba hay

Makkah main Kaba hay,
Madinah main Kabe ka Kaba hay


Makkah main Bait Ullah hay,
Madinah main roza e Rasool Ullah hay


Makkah main aab-e-zam zam ke chashme,
Madinah main Muhammad ke karam ke chashme


Makkah main Farshiyo ka Hajj hota hay,
Madinah main Arshiyo ka Hajj hota hay


Makkah main Jalaal hay,
Madinah main Jamaal hay


Makkah main Hira ki tanhaaiya hay,
Madinah main Gunbad-e-Khazra ki rahnaiya hay


Makkah duaao ka markaz,
Madina Ataoo ka markaz


Makkah main Guzarish ,
Madinah main Shafarash


Makkah main larai haraam hay,
Madinah se judaai haraam hay


Makkah main maanga jata hay,
Madinah main ataa kiya jata hay


Makkah main zakhm sunaye jate hay,
Madinah main zakhm mitaye jate hay….

ایک تبصرہ شائع کریں

0 تبصرے