Zaer-e-Koay Jinaah Aahista Chal

Zaer-e-Koay Jinaah Aahista Chal

Zaer-e-Koay Jinaah Aahista Chal
Dekh Aaya Hai Kahaan Aahista ChalJaisay Jee Chahay Jahan Mein Ghoom Phir
Ye Madina Hai Yahan Aahista Chal
Baargah-e-Naaz Mein Aahista Bol
Hoga Sab Kuch Rayegaan Aahista Chal


Haazri Mein Hai Malak Sattar Hazaar
Qudsiyon Ke Darmiyan Aahista Chal


Dekhloon Jee Bhar Ke Sheher-e-Mustafa
Mere Meer-e-Kaarwan Aahista Chal


Jaliyon Ke Saamnay Jaldi Na Kar
Woh Hai Naazish Meherbaan Aahista Chal


ZAER-E-KOAY JINNAH AAHISTA CHAL NAAT LYRICS

ایک تبصرہ شائع کریں

0 تبصرے