Nahi ha koi Dunya mein hamara Ya Rasulallah

Nahi ha koi Dunya mein hamara Ya Rasulallah

Nahi ha koi Dunya mein hamara Ya Rasulallah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
Hamein to Aap hi ka hai Sahara ya rasulallah


Talatum khez hai darya bhanvar mein hai Meri kashti
Nazar ata nahi koi kinara ya Rasulallah


Tarapta hai mera dil aur tarapti hain bohot ankhein
Bula lo ab Madine mein dobara ya Rasulallah


Faqat amaal ke badle na paega koi jannat
Na hoga Aap ka jab tak ishara ya Rasulallah


Dame akhir Zara mushtaq per itna karam karna
Nazar iski aur jalwa ho tumhara ya Rasulallah


Haqiqat mein bohot barh kar ke hai arshe moalla se
Zameen jis per ho naqshe Pa tumhara ya Rasulallah

ایک تبصرہ شائع کریں

0 تبصرے